Monday, June 23, 2008

kehti hai chambal 1

chambal
rait ki chadar se dhaki nadi
kabse abhishapt hai?
behti to hai sadiyo se aviram
par keh nhi pati apni pida
nadi,auro se alag
punya salila nahi hai
shayama bhi nhi hai
patita hai,
yugo yugo se.
iski goud mai kulbulata hai vidroh
satta ko chunoti deta hai
saha nhi jata annaya
chahe wo mugaliya ho ya bratani.
chambal ke beto ke vrashab kandh
taang lete hai banduke
utar jate hai bheehado mai behichak
annyaya ke partikar mai.
bagawat kise pusati hai
sakon,hudon,tomaron ko
kisi ko nhi
sab chahte hain sir jhukati manav shrankhlayen
jo chambal mai nhi banti kahi.
chambal banati hai bheehad
bhayawah bheehad
pratikar ke liye prashikshan pati hai peedeyan
inhi bheehadon mai.
bheehad' school hain
padaya jata hai inmai path
annachar ke pratikar ka
lekin,padne nhi deti police
doudati hai meelon tak
karti hai farzi muthbheden
phir bhi pratikar khatm nhi hota
mar-mar kar jee uthta hai pratikar.
amrouti kha kar aya hai shayad
yeh chambal ka ek chehra hai.
ratnagarbha to nhi hai chambal
kintu baanjh bhi to nhi hai
prasuta hai
janam deti hai kai sapno ko
peele sone jaise sapne
jo kabhi sarson ke pholon ki sahkal mai
lelehate hai meelon tak.
bahati hai dudhiya pramaad
jo utarta nhi sadiyon tak
yahan ke baccho ke dimag se.
chambal ghati
ghatnao ki shakshi hai
ithihas hai chambal
bahaduri ka ithihaas
balidaan ka itihaas
parajay ka itihaas.
jhansi se lehrate hue talwaar
yahi jeeti thi jung
par haar gayi thi jaan
jhansi ki rani.
chodkar bhag gaye the prasaad
madad karne wale log
mar gaya tha azadi ka sapna
swarn rekha ke samne.
juhg gaya tha sir
sharam se maan mandir ka tab
shahastrabahu asahay khada rha tha
kile ki pracheer par
kuda nhi tha veerangna ke sath.
chambal aur bhi hai kuch
siki ret par ab tak nhi mite hai
vinoba ke padchinhah
ab tak ujas bhara hai bharkhon mai
jayprakash ka.
baandukon ke bojh se thake
kandhon ki kahani
ab tak taaza hai
dassu razon ke samarpan karte hath
ab bhi dhikahi padte hain
jhan-tahan.
mukhya dhara mai laut te samay ko
koi nhi dhekhta.
sab dhekhte hai,chambal ka atteet
darte hain,darate hain
chambal ke naam se.
nahi jante ki chambal
bhayawah nhi khoobsurat bhi hai.
barsaat mai nahayi uwati ki tarah
kakan math ko dhekha hai?
garwonatt hai chambal ka matha.
chambal hi to hai
jisne swikaar kiya tha
bin bhyahi kunti ko
nahi bhehne di thi
surya putra ki manjusha.
padaya tha usse shurveer hone ka kakahra
kuntalpur nhi rokta kunti ko
to kya mahabharat apuran nhi rehta?
leekhe jati kya karan ki
daanveerta ki katha.

No comments: